Powered By Blogger

Wednesday, June 26, 2013

Efsos hota hai












Kash  kabhi aisa hota...
 
Koi awaaz aati hoti,Is dil ke tutne ki,
 
Dil ke ansu bhi dikhte un ankho ko.....

Fir ye khayal aaya,
 
Jo sun na saka meri awaaz ,
 
Wo dil ki awaaz bhala kya sunta.
 
Jise kader nahi in ansuo ki
 
Wo dil ke ansuo ko bhala kya samajta...




aj dil roya hai fir,
 
unki baatein sun kar
 
kabhi jis awaaz ko sunne k liye me betaab rehti ti,

 aj ussi awaaz ko sun kar asunni kar deti hun..
 
na jane ye kaun sa mod hai ..
 
jis baat par kabhi naaz hota ta..

aj usi baat pe afsos hota hai..

Ek gam mare....



zindagi k gam se sataye hue hain,

jis pe bhi yakeen kiya ,

wahi ruswa kiya hai,

dil me jiski yad basi hui hai,

wahi use mitane me laga hua hai,

kya as lagaun unse ab me,

jab wo har as ko thod chuke hain.

Meri Kahani

 

Use roz na me wo galti karti,

Na mene tumhe dekha hota,


Na tumne mujhe apna dost banaya hota,

Na humne kabhi baat ki hoti,

Na humare bich koi mulakath hui hoti,

Na tumne mujh dost se apna pyaar banaya hota,

Na tumne mujhe pyaar karna sikhaya hota,

Na tum mere itne kareeb aaye hote,

Na tumne sapne dikhaye hote,

Na tumne yun mujhe tadpaya hota,

Na tumne yun mera pyaar tukraya hota,

Na tumne yun mera dil thoda hota,

Na tumne bich me mera sath choda hota,

Na tumne mere pyaar ko aadat kaha hota,

Na tum mere zindagi se yun bahar hote,

Na meri zindagi itni mushkil hoti,

Yun Na Hoti Meri Kahani ......

Agar Tum Meri Zindagi Me Aaye Na Hote.