maa me abhi jeena chahati hu, tere sath waqt bitana chahati hu, mitti ka khilona nahi h ladkiya,
yahi baat m sabko samjhna chahati hu,
aksar kehte hai log har kisi par bhagwan ka hath hota hai,
fir kyo bhagwan k hath k niche ladkiyo ka ye anjaam hota hai,
jaa rahi hu aaj me tum sabko chodd kar,
phir na aaungi kabhi kisi ki beti bankar,
maa ka ek sapna tha,
ek din be…ti ke liye rajkumar aayega,
dolli me baitha kar usse le jayega,
khadi hokar sapne tutate dekhegi wo,
jab bhai mujhe kandhe par le jayega,
maa me tere sath rahna chahti hu,
maa me abhi aur jeena chahti hu,
khush hua karte the papa dekh kar mujhe aksar,
aab roynge mujhe yaad kar ke aksar,
unka u pyar se gale lagana,
mere baad koun unhe gale lagayeka aksar,
papa me apko akhri bar gale lagana chahti hu,
papa me abhi kuch din aur jeena chahti hu,
mera bhai jab bhi raat ko soyega,
chup chup ke mere liye royega,
bhai ek bahan jaa rahi haim,
magar hazaro bahano ka khayal rakhna,
ab soo rahi hu me apna aur sabka khayal rakhna :( :’(


...............................................................................................................................

Agle janam Mohe Bitiya na dena



Maa bohot Dard sah kar..
bohot dard de kar..
tujhse kuch kah kar main jaa rahi hun.
Aaj meri vidai main jab Sakhiyaan milne aayengi.
Safaid Jode main lipti dekh sisak sisak mar jayengi.
Ladki hone ka khud pe fr wo Afsos jatayengi.
Maa tu unse itna kah dena Darindo k duniya main Sambhal kar rahna.
Maa Rakhi par jb Bhaiya Kalai suni rah jayegi.
yaad mujhe kar kar jab unki Aankh bhar ayegi.
Tilak mathe par karne ko Maa rooh meri bhi Machal jayegi.
Maa tu bhaiya ko rone na dena.
Main sath hu har Pal unse kah dena.
Maa Papa bhi chhup chhup bohot royenge.
main kuch na kar paya yes kah k khud ko kosenge.
Maa dard unhe yes hone na dena.
Ilzaam koi lene na dena.
Wo Abhimaan hai mera samman hai mera.
tu unse itna kah dena.
Maa tere liye ab kya kahu.
dard ko tere shabdon main kaise bandhu.
fir se jeene ka moka kaise maangu.
Maa log tujhe satayenge.
mu jhe azaadi dene ka tujhpe ilzaam lagayenge.
Maa sab sah lena par yes na kahna.
“Agle janam Mohe Bitiya na dena”

..............................................................................................................